Support Me World Blog Provides Online Classes Tricks and Tips for: Android Computer, Internet ,Facebook, Youtube, Mobile, Google ,Twitter ,Yahoo internet security, Data Security, Discovering New Technology, Website Development , Design And Web Hosting Services / Domain Registration and Online Business Promotions Tips & Tricks Online Classes.

5 best free Android apps of 2018 Amazing Apps In Hindi Tricks

5 best free Android apps of 2018 Amazing Apps In Hindi Tricks

5 best free Android apps of 2018 Amazing Apps In Hindi Tricks
5 best free Android apps of 2018 Amazing Apps In Hindi Tricks

Dosto Android Mobile smartphone to aap sabhi istemal karte hi honge. apne kam kherch or best operating system ke karan duniya ka no1 software Android mobile duniya me bahut popular hota ha rha hai. lakin agar aap ek Android mobile user hain to kuch tips or tricks se aap Android mobile ka maza or bhi aasani se le sakte hain. aaj ke es article se mai aapko en sabke bare me btaunga. aaj mai aapko Android Mobile Hang horha ho to kya kare ? Android mobile Garm Ho raha ho to kya kare ? Android mobile me data save kaise kare ya Android mobile data kaise bachaye ? Android mobile me secret video kaise record kare ?

Popular 11 Andarid  Mobile Tips ke bare me btaunga jinse aapko mobile ko istemal karne me or jyada maza aaega. mai ye bhi manta hu ki aapme se kuch ko to ye tips pta bhi honge lakin jinko inke bare me nhi pta hai wo jarur jane.

1. Agar Android Mobile Hang Or Garm Ho Rha Ho To Kya Kare :-

Dosto chahe kitna bhi mehnga ya kitna bhi acha features wala mobile phone lelijiye Hang or Garm hona aam bat hai. Android mobile hang jyadater RAM ke bher jane se hota hai. iske liye sabse sahi upaye ek hi hai ki aapke Android mobile me “CCleaner” app jo ki ek bahut hi chota sa aap hai aapke mobile me hona chahiye. mai aapko btana chahunga ki aise aap jo RAM ko free karne ka dawa karte hain aise play store par bahut hain. lakin wo sab fake hain or aapke mobile par jyada pressure dalte hain jo ki Android mobile ke liye bahut jyada bura effect hai. CCLEANER AppAndroid mobile me Khali ya empty folder ki cookies ko ek dum se saaf kar deta hai. or sabhi tereh ki unnecessary files or cookies ko saaf karke aapke mobile ki speed ko badhata hai. to aap apne mobile ki RAM ko saaf or fresh karne ke liye CCLEANER app ka istemal kare.
2. Android Mobile Me Data Saving Kaise Kare :-
Dosto “2g Ghotale” ke bad 2g internet pack ke dam badh gye hain or badh rhe hain. aise me data saving karna aapke liye bahut jyada faudemand hai. Data saving ke liye mai aapko kuch steps btata hu jinse aap apne Android mobile me data saving kar sakte hain –
• Apne Mobile Ki “setting” me jaye.
• waha “Data Usages” par click kare.
• ab “Mobile Data” me jaye or apni billing Cycle ke din add karde.
• aap date to date or wahi apni data limit set kijiye.
• jaise agar aapke pas 1GB yani ki 1024 MB data hai to apne graph ko 1024 Mb tak krde.
• Ab aap jaise hi Data ending tak aaenge yani ki 900MB ya iske aaspas aaenge to aapka mobile aapko bar bar message dega ki “AAPKA DATA KHATAM HONE KO HAI”.
3. Ek Android Mobile Me Chahiye 2 WhatsApp :-
Dosto kyonki WhatsApp india me bahut jyada use hone wala messenger hai isliye WhatsApp sabhi Android mobile user use karte hain jo social networking karna pasand karte hain. lakin bahut se log ek mobile me 2 WhatsApp chalana chahte hain wo bhi ek mobile me to koi bat nhi friends ab aap aisa kar sakte hain mtlb ki 2 WhatsApp chala sakte hain. jaisa ki maine HinditrickBlog.com par meri pichli posts me aapko “Ek Mobile Me 2 WhatsApp Kaise Chahiye” Rooted mobile ki Trick btaye thi or itna hi nhi friends HinditrickBlog ne to “Ek mobile me 2whatsapp Bina Root chahiye” ke bare me bhi btaya tha. to esliye aap yaha en dono links par click karke enke bare me jankari pa sakte hain.
4. Android Mobile Ke Liye Best Battery Solution :-

Dosto Android mobile ki battery ka jaldi khatam ho jana sabse badi problem hai. agar aapke pas safer me PowerBank nhi to aapmo battery problem ke bare me pta chata hai. aise me ek aap “Greenify” aapki bahut jyada madad kar sakta hai.
Mobile me kuch apps apne app chate rahte hain jinse battery jaldi khatam hoti hi. jab hum Android mobile me kisi aap ka istemal nhi kar rhe hain to bhi aaps Background me chalti rahti hain. aise me Greenify aap aapke un aaps ko background me chalne hi nhi deta jaisse aapki battery life aachi bani rahti hai. aap iske liye Greenify aap ka istemal jarur kijiye –
5. Apps Update Aane Par Kya Kare :-
dosto har android user average kam se kam 15 se 20 aaps to jarur se jarur karta hai. Aise me aapko har roj apps update ke notifications milte honge. aap sochte honge ki ab kya kiya jaye ? apps ko update kiya jaye ya nhi ? to mai aapko iske bare me kuch intresting jankari deta hu –
Derasal hota kya hai ki sabhi apps Android operating system ke sabhi Android mobile phone ke liye design kiye jate hain. lakin kuch mobile me koi app thik se nhi chal pata ya error show karta hai to company us app ko fir se design kar deti hain jo ki play store par aapko nazar aata hai ki aapke en aaps ka update aachuka hai. aise me aap unhe har roj update karke apna mobile data waste mat kijiye. aap sirf month me ek bar hi apps ko update kijiye.
Share:

0 comments:

Post a Comment

Search This Blog

Powered by Blogger.
  • ()

Recent Posts

Unordered List

Pages

Theme Support