Support Me World Blog Provides Online Classes Tricks and Tips for: Android Computer, Internet ,Facebook, Youtube, Mobile, Google ,Twitter ,Yahoo internet security, Data Security, Discovering New Technology, Website Development , Design And Web Hosting Services / Domain Registration and Online Business Promotions Tips & Tricks Online Classes.

Top 10 Popular WhatsApp Trick In Hindi

Top 10 Popular WhatsApp Trick In Hindi


HI FRIENDS, Aaj main apke samne fir ek bar kuch important Whatsapp tricks and tips lekar hajir hua hun. Ap mein se kai log whatsapp to chalate hi honge aj me jo tricks aap ko bataunga wo whatspp se related hai. Kya aap jante hain ki whatsapp bahut hi popular social media platform hai ise Karib 700 million se jyada log use kar rhe hain. Chaliye main ab apko jyada bore na karte hue iski new and simple tricks batata hun. 
(Note: in tricks Ko use karne ke liye apke pas WhatsApp ka lastest version hona chahiye.)

WHATSAPP TRICKS AND TIPS IN HINDI
 
1.     Whatsapp video calling:
 

Abhi kuch dino pahle Whatsapp ne ek naya feature launch kiya hai  video calling agar apka whatapp newly updated ho ye feature Ap tabhi use kar sakte hain sakte hain. Iske liye apko sirf ye karna hai ki sabse pahle play store se whatsapp video calling ka app install Karen uske bad aap asani se video calling kar sakte hain.

2.     Apne friend ka whatsapp hack Karen: 
 
Agar aap apne friend ka whatsapp hack karna chahte hai to ye trick apke bahut kam ayegi.
Step 1: sabe pahe apne friend ka mobile us se len.
Step 2: ise apne laptop se connect kare.
Step 3: ab folder me whatsapp database me jaye.
Step 4: Yaha par 2 script likha hua hoga. 

msgstore-yyyy..dd..db.crypt and msgstore.db.crypt
“msgstore-YYYY-MM-DD.1.db.crypt” file ko rename karke “msgstore.db.crypt” kare. Agar file extension  “.crypt5” ki tarah hai to prefix ko rename kare aur extension ko change nahi kare.
   
AB whatsapp app install kare yaha apko backup restore karne ke liye bolega apko backup restore karna hai ab apke phone us friend ke sare chat show hone lagenge.
 3.     Sare whatsapp chat ko email par kaise send kare:
 
Is trick se aap apne important chats ka backup bna kar apne email par store kar sakte hain.
Step 1: sabse pahle whatapp apen kare.
Step 2: uske bad kisi bhi contact par kuch der ke liye press kare.
Step 3: ek popup window khulega usme email converstoin option ayega us par click kare yaha se ap conversation ko apne email par send kar sakte hain.

4.Ek phone se do whatsapp kaise use kare:
 
Agar aap ek phone me do whatsapp use karna chahte hain to iske liye apko GB whatsapp download karna hoga. Ye bat aap ko chonka degi ki jo features GB whatsapp wo original whatapp me bhi nahi hai. Aap ise yhan se bhi download kar sakte hain.


GB WHATSAPP: DOWNLOAD

5.     HOW to chat without unlock phone:
 
Is trick se ap bina phone ko unlock kiye bhi chat kar sakte hai. Apko sirf ye instruction follow karne hai.
Sabse pahle setting me jaiye uske bad notification par click kijiye.
Ab popup notification par click karna hai ab only when screen off ka option ayega is par click kijiye. Ab aap apna phone unlock kiye bina bhi chat kar payenge.

6.     Whatsapp par blank message kaise bheje:
 
Sabse pahle apko noword app download karna hai use apne phone me install kariye kariye uske bad ye instructions follow kariye.
Step 1: noword ko apen kariye.
Step 2: iske bad apko ek send ka option show hoga uspar click kariye.
Step 3: ab apko do option dikhai denge facebook or whatsapp ka apko in dono me se jis par blank message bhejan hai use select kariye or kisi ko bhi blank message bhejiye. 

7. Whatsapp Last seen kaise hide kare
 
sabse pahale apko settings> account> privacy> lastseen ke option par jana hai, yahan apko Everyone, My contacts, Nobody  ke option milenge apko nobody select karna hai.
Iske bad apka lastseen timestamp puri tarah se hide ho jayega.

Friends apko hamari ye post kaisi lagi hame comment karke jarur bataye or is post ko jyada se jyada share Karen.
Hamari website ki latest updates pane ke liye aap hame email dwara subscribe kar sakte hai or hame Google par bhi follow kar sakte hai,

8. Unblock Your Self On Whatsapp

Friends ager whatsapp par koi person aapko block kar deta hai to aap khud apne aapko unblock kar skte hai aur ush person ko phir se massage send karna shrur kar skte hai. Iske liye aapko apna whatsapp account ek baar delete karna hoga. jaise hi aap apna account delete karenge to aap unblock ho jayenge uske baad aapko phir se ush number se apna account bnana hoga.

Ushi number se new account bnane ke baad aap phir se ush person ko masssage send karna shuru kar skte hai. but ager aap ek baar apna account delete kar denge to aapke sare messages aur groups delete ho jayenge. Ish liye ish baat ko dhyan me rakh kar hi apna account delete kare.

9. Delete Messages By Categories

Friends abhi aap whatsapp par messages ko categories ke hishab se sirf ek click me delete kar skte hai. Maan lijiye ki aap apne kisi whatsapp contact ya group ke sirf text massages ya photos ya videos ko delete karna chahe to unhe sirf ek click me delete kar skte hai. iske liye aapko Whatsapp Settings>Data and Storage Usage>Storage Usage me jana hai.

Uske baad aapke sabhi contacts aur groups aapke samne aa jayenge. aapko jiske messages delete karne ho ush par click kar de. uske baad aapke samne aisa page open ho jayega.

Ynha par aapko 'Manage Messages' par click karke un categories ko select karna hai jin category types ke messsages aap sirf ek click me delete karna chahte hai aur uske baad 'Clear Messages' par click kar dena hai. Jaise hi aap aisa krenge to wo messages delete ho jayenge.


10. Download Whatsappp Status

Ish trick ki madad se aap aapke contacts dwara whatsapp par dale gye status ko download kar skte hai. iske liye bhi aapke pass 2 option hai.

1 Ager aap GB Whatsapp use karte hai to aapko status me hi ushe download karne ka option mil jayega.

2 Ager aap normal whatsapp use karte hai to iske liye aapko ek application download karni hogi, jiski madad se aap whatsapp status ko download kar skte hai. Application download karne ke liye aapko play store par jakar 'Save Whatsapp Status' likh kar search karna hai. Uske baad bahut sari apps aa jayengi jinki madad se aap whatsapp status ko mobile ki gallery me save kar skte hai. aapko jo application achhi lge aap wo download kar skte hai.
Share:

0 comments:

Post a Comment

Search This Blog

Powered by Blogger.
  • ()

Recent Posts

Unordered List

Pages

Theme Support