Support Me World Blog Provides Online Classes Tricks and Tips for: Android Computer, Internet ,Facebook, Youtube, Mobile, Google ,Twitter ,Yahoo internet security, Data Security, Discovering New Technology, Website Development , Design And Web Hosting Services / Domain Registration and Online Business Promotions Tips & Tricks Online Classes.

Android mobile ka battery backup kaise badhaye Hindi main jankari

Android mobile ka battery backup kaise badhaye Hindi main jankari


Android mobile ka battery backup kaise badhaye Hindi main jankari
Android mobile ka battery backup kaise badhaye Hindi main jankari


Android phone aaj ke samaye me sabse adhik popular phone or lag-bhag sab ke pass hai lekin smartphone ke jamane me battery backup ki  problem bhot jyada hai.Kai android phones me to 5-6 ghante ka battery backup bhi nahi milta .Hume apne android phone ko switch off se bachane ke liye na jane kya kya karna padhta hai jaise powerbank , bar bar phone ko charge karna aadi sabhi karan se android phone ko  use me lena ek chunoti bhra kam hota hai.Is liye me aap ko is post me batauga ki kis parakar se aap apna android phone ke battery backup badhaye.Bas aap ye step follow kare. 

Step 1. Live wallpaper - Hamare android phone me hum jyadatr live wallpaper set karte hai lekin hum ko koi still image ko hi wallpaper set karna chahiye . Kyuki Live Wallpaper use karne par hamare android phone ki battery jyada kharch hoti hai aur sath sath phone ki RAM bhijyada use hoti hai . Agar mujse se puche to  Live wallpaper lgane ke shokin logo ko Live Wallpaper ke bjaye hd wallpaper set karna chaiye.



Step 2.Browser night mod - Hamare pass koisa bhi android phone ya smartphone ho lekin usme sabse jyada battery web browser ki display me kharch hoti haiKyuki jab hum rat ko apne phone  ki brightness 40% se jyada hone par bhi use me lete hai to usko kam kijiye aurnight mode me set kar dijiye . Isse aapke battery ki power bachegi aur battery jyada der tak chalegi sath hi sath aapki aankhe bhi safe rhegi.




Step 3. Brightness - Humara phone sbse jyada display me battery ko use karta hai . Agar humare phone ki brightness 40% se jyada hai to usko kam kijiye aur auto mode me kar dijiye . Isse aapke battery ki power bachegi aur battery jyada der tak chalegi.
 



Step 4. Use WiFi - Phone me data se net use karne ke bajay agar aap wifi ka istemal karte hai to isse aapki battery bachegi . Kyuki wifi ka network aur cellular network ki frequency me bahut difference hota hai . WiFi use karne par battery bahut kamuse hoti hai .Jabki Cellular network me jyada battery west hoti hai.





Step 5. Auto Sync - Kai bar humare phone me backup ke liye auto sync on rah jata hai to off kijiye kyuki jab aap phone nahi bhi use karte hai to yah synchronization chalta hi rhta hai .Aur aapki battery bhi consume hoti rahti hai . isliye isko off rakhne se aapki battery 30% jyada der tak chalti hai .





Step 6. Bluetooth & WiFi -Jab hum apne Smartphone se data transfer karte hai to bluetooth or wifi ka upyog karte hai fir hum kai bar inhai of karna bhul jate hai jisse ye battery use me lete hai.Agar hum inhai kam khtam hote hi band karde to hamare phone ki battery 10% jyada chalegi.



Step 7. 
Battery sever apps - Android phone me battery ko safe rakhne ke liye battery sever apps bhi bahot jaruri hai vese to android  phone ke play store me bahot sare battery sever apps hai lekin me yha par aapko Battery Doctoraap de rha hu ise download karne ke liye yha click kare Battery Doctor.apk.





Step 8. Screen Time-out Smartphone ki battery khtam hone ke kai karno me se ek karan Screen Time-out bhi hai.Isse 1 minute par set kare jisse phone  ki battery ko adhik kharch hone se bchaya ja sakta hai.
 


agar aap ko android mobile se judi or koi jankari cahiye to comment karke puch sakte hai.
Share:

0 comments:

Post a Comment

Search This Blog

Powered by Blogger.
  • ()

Recent Posts

Unordered List

Pages

Theme Support